Tum… Shayari on Zindagi by Sahil Dhall

A brilliant poetic composition, a heart felt shayari on zindagi by a friend…

Tum…

Zindagi ke iss khel mein fainke jaane walon mein se ek main bhi hun,
Naa jaane kyun zindagi mein yun log takra jaate hai
Unke sath rehkar bhi dur hone ko majboor main bhi hun,
Chahta tha unse bahut kuch kehna par
Unki khushi ko chahne walon mein se main bhi hun,
Dua toh yahi hai eri khuda se ke unhe rehmat bakshe
Kyunki us khuda se khushi maangne walon mein se main bhi hun,
Nahi chahta tha kisi ke kareeb aana
Par tanhayi mein apna dhundne walon mein se main bhi hun,
Koi gila shikwa hai toh bata dena,
Kyunki chehra padhne walon mein se main bhi hun.
sahil1
Maine bhala chahne walon ka anjaam aksar dekha hai
Un bhala chahne walon mein se main bhi hun,
Roz marne wale toh hazaron hai
Par maut ka intezaar karne walon mein se main bhi hun,
Chahne wale toh bht hai zindagi mein
Par aksar bhula dene walon mein se main bhi hun,
Do pal jeene ka honsla toh maa baap de jaate hai
Warna roz jee kar marne walon mein se main bhi hun…
sahil2
Ashqon ka aana toh bht pehle tham gaya tha
Num aankhon se phir jeena seekhane walon mein se tum bhi ho,
Samajhta hun main zindagi ki har uljhan ko
Par un uljhano ko suljhane wale tum bhi ho.
sahil 3
Composed by Sahil Dhall
Image Courtesy Sahil Dhall – 1, 2, 3,
RIGHTS RESERVED